Bageshwar Jila
Bageshwar Jila Bhaarat ke Uttarakhand rajya mein ek jila hai. Iska headquarter Bageshwar mein hai. Iske poorab mein Pithoragarh jila, paschim mein Chamoli jila, aur dakshin mein Almora jila hai. 15 september 1997 ko Almora jile se nikal ke ise alag jila banaya gaya.[1] 2011 ke Bharat ke census ke mutabik Bageshwar Champawat aur Rudraprayag ke baad teesra sabse kam jansankhya wala jila hai.
Bageshwar ko purane granthon mein iska naam vyaghreshwar likha gaya hai. Bagnath mandir, Baijnath Dham, Kausani, Vijaypur aadi is jile ke mukhy paryatan sthal hain.
Sandarbh
badlo- ↑ "बेहतर भविष्य की शुभकामनाएं, जन्मदिन मुबारक बागेश्वर", अमर उजाला, १४ सितम्बर २०१७. Retrieved on 19 Maach 2018.