Bidsar (बीदसर), ya Beedsar Sikar zile ki Laxmangarh tehsil ka ek ganv hai,jo ki India ke Rajasthan rajya me aata hai. Ganv Laxmangarh ke Purab me 21km aur Nawalgarh ke Uttar-Pachim me 6km padta hai.Ganv ke simavarti ganv aur kasbe Birodi Bari, Bidasar, Mirzwas, Dundlod, aur Nawalgarh hain .

बीदसर (Bidsar)
बीदसर (Bidsar)
Location of बीदसर (Bidsar)
in Rajasthan
Coordinates 27°52′11″N 75°12′53″E / 27.869763°N 75.214591°E / 27.869763; 75.214591
Country  India
State Rajasthan
District(s) Sikar District
Sarpanch Sushila Devi
Population 2,446 (2011)
Time zone IST (UTC+05:30)
Climate
Temperature
• Summer
• Winter


     46 °C (115 °F)
     1 °C (34 °F)

kuch khas log and number

Sandeep Mandiya 95216667678

Rajesh Poonia 9828896363

Devesh Poonia 9660713021

Shivchand Garhwal 01573285285

Madhan Sewada 01573285*****

Sultan Singh Garhwal JEN 9414870011

Dikshant Garhwal 9414585960

Itihaas badlo

Pre-Indian Independence
Yah ganv Aazadi se pahle se hi Garhwal Jats dvara parbhutav sthapit hai. Yesa maana jata hai ki Bidsar ko Bida naamak vayakti ne basaya tha.

Ganv Ki Sarkar badlo

Bidsar,Beedasar Panchayat ke antargat aata hai. Neta ka sirshak Sarpanch hai aur Ganv me 16 ward sadsya chune jate hain.

Sikshya badlo

Ganv halanki sanpuran sakshar hone ka dava karta hai, lekin abhi bhi kuch mahilayen anpadh hain. Yadhapi saksharta dar me sudhar ho raha hai. Ganv ke bhutse vidyarathi parmukh Engineering institutes aur medical colleges me

Samaj aur Sanskrti badlo

Ganv me Hindu riti rivazo se samaj chalta hai.Halanki nai pidhi pachimi sanskrti se parbhavit hai.Aurte Parde ka paryog karti hain,Jo chehra chupane ke liye upyog me aata hai.

Khel Kud badlo

Ganv ke bacche adhiktar Cricket khelte hai,lekin volleyball aur football bhi khelte dekhe ja sakte hain. Garamin ganv ke chaupal me taas khelte bhi dekhe ja sakte hai.

Utashav aur Tyohar badlo

Garamin parmukh Hindu utsav aur tyoharon ko manate hain.Kuch mukhye tyohar is parkar hain- Holi, Deepawali, Makar Sankranti, Raksha Bandhan, Sawan, Teej, Gauga Peer aur Gangaur.

तीज त्योंहरा बावड़ी हाड़ो ले डूबी गंगोर (tyohar Teej ke sath suru hote hain aur Gangor ke sath khatam ho jate hainfestivals begin with Teej and end with Gangor) sabhi utsavon aur tyoharon ka apne samya aur tithi ke anusar mahtav hota hai.

Ganv Ki Stiti badlo

 
Location of Bidsar in Sikar District.

Bidsar Laxmangarh se Nawalgarh vai Balaran Road pe Stith hai.Road ke dahini tarf Savragye Shri Ramu Ram Garhwal davara ek Bargad ka ped lagaya gaya hai.

Dharmik Sthan badlo

  • Hari baba aashram bidsar (Chatarana Johra)
  • Bala Giri Baba (Bhisrana Johra)
  • Ganesh Ji Mandir (Kumana Johra)
  • Shiv Mandir (Bidsar Bus Stand)

See also badlo

External links badlo