Kotdwar
Kotdwar Bharat ke Pauri Garhwal Jile mein sthit Ek Shahar hai. Yah Uttrakhand ka athwa(8) sabse bada jila hai, Iska purana nam khohdwara tha, Jiska matlab Khoh nadi ka pravesh dwar hai, kyonki yah Khoh nadi k that par sthit hai. Yah rajya ke dakshin paschimi bhag mein sthit hai aur Uttarakhand rajya ke mukhya dwar mein se ek hai.
Prarambh mein ek alag aur kam gyat tha, leking yah pramukhta me tab aya jab yah 1890 mein angrejon dwara rail se juda.
Kotdwar Sidhbali Mandir ke liye prasiddh hai, yah 2 kilometre ki duri per sthit hai, Sidhbali Mandir bhagwan Hanuman ji ko samarpit hai aur pure varsh saikdon shradhalu yahan darshan ke liye aate hain.
Kotdwar me aur b ghumne ki kahi jagah hai, jaise Devi mandir, Kanvashram aur lansdowne yaha se 38 km ki duri par hai.