Achham Jila

(Achham se bheja gais)

Achham, Nepalka Seti prantmain rahewala ek pahadi jila hai. 1,680 km2 tak phaila huwa Achham, Nepalke durgam jilaonme ek hai. Filhal sewase bahar rahawala Saphebagar air port jila mukhyalay Mangalsainse 8 ghanteka paidal duri par hai.

Achham jila
Anchal: Seti
Mukyalay: Mangalsain
Kshetrafal: 1,680 Cm2
Janasankhya: 2,31,285 (san. 2001 )
Gaun vikas samati: 65
Nagarpalika: Mangalsain, Saphe bagar
Nirvachan kshtra: 2
Avasthit: Pahad
Sabse ucha sthan: 4168 mtr
Sabse hocha sthan: 544 mtr
Jatiyan: Kshtri, Kami, Thakuri, Brahaman, Magar, Damai, Sarki (Mochi), Sanyasi, Sunar aadi
Bhashayn: Nepali aadi
Manav vikas suchakank: (75 Jilaome)
Teliphone code: 00977-97
Pramukh jiladhikari:
Web site: DDC.Achham
 v  d  e 
Achham Jila

jilaka namankan

badlo

Achham jilaka nam "Achham" kaise raha ie bare kuch aadhar is prakar hain. Pahala Achham nam rahaneke sambandhme Achhami rajaka prarambhik rajdhani "Sera budhi dharpu"ko liya jata hai. Sera budhi dharpu se kuch niche Pastoli gadse girnewale tin jharnao (falls)me ek thoda bada or dar lagnewala hai. Yeh tino jharnay banneke ley upar jis mulse pani aata hai usko prachin kalme Asmambu kaha jata tha. Ukt sthanme abhi bhi har sal makar sakrantiko mela lagta hai sohi asmamambu sabdaka apbhrans hokar Asmamb -Achhamb or Achham huwa. [1]

  • Dusara

Doti jilake brahman khandanke Gopal Khatiwdake chhar (4) putra the. In charome se sabse chote bhai Prabhashka beta Devendra ke sath Jumli raja Ashok Mallaki putri Harmataka prem vivaha karke woha kuch din Jumlame rahe. Badmen Naukhuwame hi shasan karne lage unse paida hue putra raja hona aur shaha padbi pana sabko aascharj (acbambha) huwa kyuki raj khandanme prem vivaha se paida hue santanko najayj mana jata tha. Ies hi achambha sabda badme apbhransit hokar Achham nam raha.

  • tisara

para purv kalme tatkalin raja mugal samrajyka daman sahan na kar paneke karan kuchh Bharatiy Hinduonko Nepalme jana pada ghumte phirte Bhartiy Hindu Nepalke Naukhuwa (Achhamka pura nam Naukhuwa tha) pahuche un dinome ies kshetrame bahut sare mithe aam (mango) milte the jo abhi bhi milte hai. Anukul mausam ke karan Bhartiy Hindu Naukhuwame hi rahane lage Hindime mithe aamko "achchha aam" kaha jata hai wohi achchha aam apbhans hokar abka Achham bana.

Bhaugolik avastha

badlo
  • Akshans: 28.45" uttarse 29.23" uttar tak
  • deshantar: 81.2" puravse 81.35" purav tak
  • Samudri satahase uchaie: 540 mtr.se 3820 mtr.tak
  • Kshetraphal: 1692 kmc
  • Simayen: puravmen Kalikot aur Dailekh, pashchim- Doti, uttar-Bajura aur Bajhang aur Dkshin- Dailekh

Ye bhi dekhen

badlo

sorce

badlo

References

badlo
  1. डा. राजाराम सुवेदी अछामको इतिहास)